Posts

Divergence of wishes

Image
Insano ki soch ma tazad ni hota  Balka unki khawahishat ma tazad hota hai Jo kise ko kise ka dost  Ya phir kise ka dushman bna daiti hai Jis ki pure ho jae wo khush r magroor  Jis ki na ho wo dukhi r hasad ma jalta rehta. 

Quotes

Image
     Jo apko ni mila chaha wo bachpan ma ho Ya jawani ma Agr kise dosra ko mil raha ha to khush ho Na ka gum r us sa cheena ki khoshih Agr wo khushi   ap hath ha to zaroor usay pura kare  Na milna ki aag kbi ni bhujti  Lakin dosra ko mili cheez pa gum Ya us sa cheehna ki chah b kbi sakoon ni daiti "daina sikha chaha khud ko mitana para"

"All great and precious things are lonely "

Image
           Insan baz okat tanha rehna chahta hai Khamosh kise kona ma bina kise sath ka Khud ma chal Rahi jang ka sath Khud ma chupa hua dard ka sath R Toota hua dil r khawabo ka sath Dunya ka makro fareb sa door Zaroori to nahi insan Khamoshi peecha koe waja ho Kya insan khud liya itna ikhtiyar b ni rakh Sakta Wo tanha rehna saka Baz okat wo khud ma kuch swalo ka jawab dhondhna chah raha jota Jo Dunya ka chor ma sunaye ni daita Apno ka rawayo ma gum hua hota Wo band honto ka sath khud sa mukhatib hota hai Dunya ka bona hua jalo sa nikalna ki takkabur hota Kise ki tanhaye ma Uski majboore mat dhondha Balka Uski himat o takat andaza lagaya Dunya ma akela aye r akela jana To phir kise ka sath ki chah ka kya krna Dunya ki lazato ma gum ho ka Khud ko bhula diya mena Kuch waqat ka sath manga tha Waqat na he mitta diya hamein                               ...

Silence is so freaking loud

Image
Khamoshi waha tak pohanchti hai Jaha tak hamri awaz ni pohanchti Khamoshi un darwazo ki chabi hai Jaha tak hamre dastak sunaye ni daiti       Alfazo ka sehar Khamoshi ka samna mand par jata hai. Khamoshi ma chupa dard, r sawalo ka poshida jawab sirf wahe sun Sakta Jis ka dil o demag ki ankha khuli ho Kunke ankha to sub pass hoti Lakin dekhna ki salahiyat kise kise pass hoti Kuch log Khamoshi ma chupa hua choor ko b sun laita Kuch lab sa nikla lafzo ko b sun ni paita "Uska khamosh labo pa ilteja thi                Mena sun ka b un suni kr di                    Uska sehma hua dil ki sada thi                      Mena band kano sa b sun li                                 Uski khamoshi na dil pa di dastak       ...

Never forget, what you are.

Image
Hum na aksar suna ho ga "bhol jao".  Agr hum kuch bhol b jae r zindagi ma aga bhar b jae To kya ya dunya hamein bholna daiti hai  Hum kya tha, kya hai, kya kiya, kya khoya kya paya Dunya sub yad rakhti r kbi kuch bhulana ni daiti  Magar!               "  Ap kya ho Ya ap sa behtar koe ni janta ,                   Dunya ka kam sirf bharta Hua kadmo ko                   Rokna r apko jukhana hai"  Bhol jaiya kise na ap sath kya kiya r ku kiya  Par us wakiya na kya sikhaya wo mt bholiya ga Zindagi ma aga bharna liya, kuch paina liya bohat kuch bholna parta  Agr hum yunhi Hr cheez ko yad kr ka uska gum aur soog manata raha ga hum kbi b aga ni bhar sakta  Hum jaha ha wahe khara raha ga Unko mat bholiya Jo ap liya mukhlis hai Kise ki naeki ko kise ka kiya hua ehsan ko kise ka do bola hua sha...

Poetry:stop thinking too much

Image
Zindagi ki rah ma muskhila hai bohat. In mushkilo ki parwa kise hai. Larta ho ma Hr din ek naye jang. Jeetna ki chah kise hai. Khush ho ma in gamo ka sath. Ya gum to mera jeena ki waja hai. Hasrata ha bohat dil ma mera. Par inko pana ki chah kise hai. Muskurata ho ma in zakhmi labo ka sath. Muskurana ki chah kise hai. Ek din to jana ha sabi na. Jeena ki chah kise hai. Raho ma hawao ma khushboo ki Tarha. Khawab bana ki chah kise hai. Ma ho r meri tanhayet. Kise r ka sath ki chah kise hai. Akela tha, akela ho, akela he Raho ga. Razdaro ki chah kise hai. Zindagi ki rah ma muskhila hai bohat In mushkilo ki parwa kise hai.                            Meena.                    

Power of imagination make us infinite

Image
Insan ki zindagi choti par khawahishat la mehdood hai.  Insan ka pass sub kuch hota hua b wo kise na kise cheez ki justuju ma laga rehta hai.  Kise dosra ka pass kuch dekh ka  Uski chah krna lag jana.  Magar ya sochta he ni ka kya wo us cheeza  Ko paa ka khush hai.  Hum apni asal Dunya ko side pa rakh ka Khayalo ki dunya ma rehna lag jata hai.  Khawahishat sheesha pa pare us dhond ki Tarha hai.  Jab usay saf Kare to khud sa samna hota hai.  Hr cheez ko pana zaroori to ni  Kuch cheez ko waqat r halat pa b chor daina chaheya.  Jo ap ka ha wo apko mil ka rehna  Koe ap sa ni cheen sakta Hamre zaroryat kbi b hamre khawahishat ka barabar ni ho sakte Kise cheez ko dil ma gar kr laina sa pehla  Us ka sub pehluao ko Jan la.  Khawahishat kbi b sakoon sa ni jeena daiti Isliya Jo ha usi pa shukar krna sikha  R Jo ni ha uski khoshih kare Lakin gum na kare Meena.